اب میں بھی تو مر کے تھک گیا ہوں


خود میں ہی گزر کے تھک گیا ہوں

میں کام نہ کر کے تھک گیا ہوں

اُوپر سے اُتر کے تازہ دم تھا

نیچے سے اُتر کے تھک گیا ہوں

اب تم بھی تو جی کے تھک رہے ہو

اب میں بھی تو مر کے تھک گیا ہوں

میں یعنی ازل کا آرمیدہ

لمحوں میں بِکھر کے تھک گیا ہوں

اب جان کا میری جسم شَل ہے

میں خود سے ہی ڈر کے تھک گیا ہوں


KHud main hi guzar ke thak gaya hun

main kaam na kar ke thak gaya hun

upar se utar ke taza-dam tha

niche se utar ke thak gaya hun

ab tum bhi to ji ke thak rahe ho

ab main bhi to mar ke thak gaya hun

main yani azal ka aarmida

lamhon mein bikhar ke thak gaya hun

ab jaan ka meri jism shal hai

main KHud se hi Dar ke thak gaya hun


 

Post a Comment

0 Comments